Saturday, August 26, 2006

Kabhi Alvida na Kehna

Subah hui Khatib mein

Subah hui khatib mein,
Mobile phone ki ghanti boli
Jhalak dikhla jaa japte japte,
Langot-dhar ne aankhen kholi

Bedroom mein pasra bambai ka don,
Iss se na lena panga
Tu uska kya ukhaad lega,
Khudi epiblog mein tu jo hai nanga

Couch pe lete; Breakfast mein kya hai?
Coffee, omlette and toast
Phir khooni aankhon se ghoor kar dekha,
Can you come again dost?

Wahan, Grad Hall mein padosi pareshaan,
Kaise kaison se pada hai paala!
Dumbell rakha; fauran chillaya,
Lund behnchod fuckin gaandu saala

Marketing, MBO, OB kat gaye,
Karte karte type
Achcha, mere liye khaana pack karake le aa
Karna hai mujhe Skype

Yahan dekhne laayak cheez _kya_ hai?
Lekar chid gayi bus mein jung
Waise, Clarke Quay aur Boat Quay to hain hi,
Aur teesri hai Ms. Ng

Phuket mein full aish maari,
Laut ke aaya ganja
Kaanon par se headset utaara,
Pehn di chiki, Oye! Aaja lada panja

Pet mein chuhe kood rahe,
Fatafat daud lagayi
Khat khat khat. Khat khat. khat khat khat khat
Bread de yaar; Bhai hai tu mera, bhai!

Manushik Daasatva padhte padhte,
Aa gayi mujhko nindiya
Goonjti awaaz mein gyaan ki varsha
See, back home in India

Raat hui Jurong mein,
Chaaron oar sannata chaaya
Jamghat jami lounge mein, jahan
Jaam se jaam takaraya

Mitra, dost, yaar, bhai log mere,
Ab kaise katenge din aur raat
Zindagi ke yeh sunahre pal,
Hamesha rahenge mere saath

Saal guzara dekhte dekhte,
Ab judaai ka pal aaya hai kareeb
Shukra guzaar hoon khuda ka main,
Jo aap ki bandagi hui hai naseeb

This page is powered by Blogger. Isn't yours?